Shabdo ke guldaste se likhte hain yaara,
Khuda kasam tum bin koi nahi hai hamara.
Tum is dil ki dadhkan ho,
Aaj fir se pukar rhe hain sun tou lo.
Suna hai dil ke rishtey bin kahe sab sun lete,
Tum vapis laut kar kyu nahi aate.
Aaj keh rhe hain mohabbat hai beinteha tumse,
Kabhi juda na hona humse.
Tere bina jiya jaye na,
Maana hai tumhe khuda.
Tum par kabhi koi aanch na aane denge,
Har takleef khud seh lenge.
Shayar ho tum,
Ghazal hai hum.
Diya ho tum,
Baati hain hum.
Naina ho tum,
Roshni hain hum.
Khuda ho tum,
Bhakt hain hum.
Ek pal bhi na jaana dur,
Ye dil ho jayega chur chur.
Is duniya mein har koi bs rulana jaanta,
Tumse milne ko ye dil dadhakta.
Ek tum hi ho jeene ki wajah hamari,
Tum bin ye naadan hai adhuri.
Maaf krna agar humse kabhi koi bhul ho jaye,
Tumhare khatir hum apni jaan kurbaan kar jaye.
Aye hawa pahucha de un tak mere paigaam,
Unke bin hum hai gumnaam.
Har saans par bs naam hai tumhara,
Zindagi jeene ka ek hi maksad hai hamara.
Labz mein baya nahi kar sakte ,
Hum tumhe kitna hai chahte .
Taqdeer hamari hai khushnaseeb,
Jo aap hain is dil ke itne kareeb .